Sunday, March 19, 2017

Ismein "BURA KYA HAI"

Kabhi Kabhi serious situations pe hass deta hu,
Ismein bura kya hai.

People says "be your own boss" par himmat aur mann nahi karta job chhodne ka,
Ismein bura kya hai.

Money, Rupay, Dollar, Pound, Bitcoin se connect mein nahi karta,
Ismein bura kya hai.

Shiddat se kaam karta hu aur jo accha lagta hai wahi karta hu,
Ismein bura kya hai.

Gali deta hu, Gussa karta hu,
Ismein bura kya hai.

Har cheez mein peace & humour dhundhta hu,
Ismein bura kya hai.

Yaad dost kam kartein, par mein phone message karta rehata hu,
Ismein bura kya hai.

Pyaar ke izhaar mein time lagata hu, sochta bahot hu,
Ismein bura kya hai.

Apne aap ko creative samajhta hu, video banata hu, pictures edit karta hu,
Ismein bura kya hai.

Boss se ladta hu, team pe bigadta hu,
Ismein bura kya hai.

Bharat mein hu, sirf content dhundhta hu,
Ismein bura kya hai.

Sad hota hu, rota bhi hu, khudko motivate kar deta hu,
Ismein bura kya hai.

Khuli aankhon se sapne dekhta hu,
Ismein bura kya hai.

Jeeta hu,, hasta hu,, peace mein rehata hu
Ismein bura kya hai.